Kaash yeh raat Yahi tham jaaye...
Khaamoshi ke daaman me panaah mil jaaye...
Khoyi khoyi hun yun aakhir gumsum si hu kyun...
Khayaalon ka musaafir darbadar ghumta hi reh gaya , nigaahon me kal ki Chamak hothon par ek khaamosh muskaan chod gaya...
Iss Sannate ki aawaaz me behne lagi hu..bewajaah khudse Baatein karne lagi hu..kitna kuch keh rha yeh mann har ek lamha sochte reh gayi hu...
Ek baat hai Jo dil mein,hothon par aaneki koshish karti hai,sehmi sehmi si rehti hai,kyun hamesha adhuri reh jaati hai...
Par Jo yeh ek baat hai,sirf ek ehsaas hai...Aisa ehsaas Jo beaawaaz hai...
Kuch toh hai iss raat mein khaas,bas iski subaah Na ho Yahi hai aas...
Kaash yeh raat Yahi tham jaaye...
Kaash yeh raat yahi tham jaaye... !
Comments
Post a Comment